Urdu Gharana: hair care in urdu
Showing posts with label hair care in urdu. Show all posts
Showing posts with label hair care in urdu. Show all posts

Hair Mask For Hair Loss, Dry Hairs Urdu Tips






























Hair Mask For Hair Loss, Dry Hairs Urdu Tips

Ingredients

  • Anda                       ----- 1 adad
  • Zaitoon ka tail        -----  2 chay k chamach
  • Shahad                    -----  1 chay ka chamach
  • Hair Conditioner    -----  1 chay ka chamach
How To Make

  • Tamam cheezon ko ik sath mila lain or Owen main 20 say 25 sec tak garam karen.
  • Ab is ko apnay balon main laga lain or 30 Mint tak ik jagha bhat jain.
  • Ab apnay sar ko neem garam pani say dhoo lain
  • Ya hair mask app kay balon ko mazboot karta ha jaroon say.

Dandruff Free Hair Urdu Tip For You



Baloon ki Khushki Dour Karnay Ka Tareeqa

  • Sarson k tail main anday ki zardi phaent kar dalen.
  • Phir baloon ki jaron main lagain.
  • Khushki jaroon say khatam ho jay gee.
  • Is k elawa nariyal k taail k istamal say be khushki ka khatma ho jata ha.

Best tip to Care Your Hairs in Urdu



Baloon Ki Hifazat Ka Behtreen Tareeqa

  • Haftay main aik bar tail ki malish karen.
  • Raat bhar taail laga rehnay dain.
  • Subha saar dho lain. 
  • App kay bal bharen gay is say.
  • Narial ka tail or til ka tail balon k liya bohat mofeed ha.

Hair Care Tip with Mehndi







Mehndi Say Baloon Ki Hifazat Ka Treeqa :


  • Mehndi pani main ghool lain.
  • Adhay leemo ka ras melain.
  • 4 long pees kar shamil karen.
  • 1 anday ki zardi shamil karen.
  • Akhir main daar-chini ka chota tookra pees kar melain.
  • Mehndi ko 2 ghantay k liya rakh dain
  • Phir sar pay achi tarha lagain.
  • Phir taqreeban 2 ghantay bad sar ko pani say dhoo lain. 
  • Phir shampo say dho lain.
  • Maheenay main ik bar ya amal karen.

Hair whitening Problem Tip






Safaid Bloon Ko Sayah Karna


  • Allo k khushk tookray lohay k bartan main aik din k liya bheego dain.
  • Dosray din is pani say sar dhonay say baal sayah ho jain gay.

Hair Problems and Solution

Hair Loshan for Long Hairs



Baloon Kay Liya Loshan Tayar Karnay Ka Tareeka

          Balon ko set rakhnay kay liya Loshan istamal kiya jata ha. Ya loshan aam toor par bazar say mil jata ha. Lakin ya ghar main be ba-asani tayar kiya ja sakta ha.
          Aik Cup garam pani main Beej-Dana bheego kar rakh lain. Subha ya laaes dar howa ho ga. Is ko baloon par lagaen. Bal roller ya hair  dryer buresh say set kar lain.

Silky and Beautiful Hair Tips


Khobsorat or Mulaim Baal Rakhnay Ka Tariqa

  • Khaal say apnay saar ko dhoen, Sarson ki khal koot kar rakh len. Nahanay say pehlay garam pani main bhigo dain or phir sar main laga kar dhoo laian. Bal mulaim ho jain gay.
  • Amlay, harer, bahira hum wazan lay kar pees lain. Aak glass garam pani main safoof dalen. is say sar ko dhooen. Bal khobsorat ho jain gay.
  • Sikakai or Reethay hum wazan lay kar safoof bana lain. jin k Bal ziyada ghanay hon wo ya safoof  istamal karen.
  • Leemon ka raas tail main mila kar jaron main malish karen.
  • Kalvanji pees kar ess k sath sar ko dhoen. Bal naram or mulaem ho jaen gay.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Don't Forget To Join US Our Community
×
blogger